Bakwas


   
  MyBakwas
  Shero Shayri
 

Shayri

Ek pahchan hajaro Dost bana deti hain, Ek muskaan hajaro gum bhula deti hain Zindagi ke safar me sambhal kar chalna Ek galti hajaro sapne jala kr raakh deti hai

Yeh bhi ek dua hai khuda se, Kisi ka dil na dukhe hamari wajah se, Aye khuda kar de kuchh aisi inaayat hum pe, Ki khushiyaan hi milein sabko hamaari wajah se

Utha hua har hath dua ke liye nahi hota, Jhuka hua har parda hawa ke liye nahi hota, Apni galtiyon se bhi chirag bhuj jate hai aksar, Kasoor hawa ka har baar nahi hota…

Ab ho gaya hai aadmi , Bikta hai jahaan pyaar bhi saamaan ki tarah, Pehchaan bhi hai mushkil mukhauton ke daur mein Dikhta hai bhediya bhi insaan ki tarah!!


Zindagi ki uljhanon ne hamaari sharaaratein kam di, Aur log samajhne lage ki hum samajhdaar ho gaye.

  Ek talwar ki keemat hoti hai uski dhaar se, Insaan ki keemat hoti hai uske vyavhaar se.

Choo le aasmaan zameen ki talaash na kar, Jee le zindagi khushi ki talaash na kar, Takdeer badal jaayegi khud hi mere dost, Muskurana seekh le wajah ki talaash na kar.

Thikana kabra hai to Ibaadat kar musafir Kehte hain khaali haath Kisi ke ghar jaaya nahi karteYe arzoo nahi ki kisi ko bhulayein hum. Na tammana hai kisi ko rulayein hum. Par dua hai us rab se ek hi, Jisko jitana yaad karte hain usko utana yaad aayein hum.

Khwahish aisi karo ki aasman tak ja sako, Dua aisi karo ki khuda ko pa sako, Yun to jeene ke liye pal bahut kam hain, Jiyo aise ki har pal mein zindagi pa sako..!

Zindagi haseen hai zindagi se pyar karo, Ho raat to subah ka intzar karo, Wo pal bhi aayega jis pal ka intzar hai apko, Bas rab pe bharosa aur waqt pe aitbar karo.

Mushkilon mein bhag jana asaan hota hai, Har pehlu zindagi ka imtihan hota hai, Darne walon ko kuchh milta nahi zindagi mein, Aur ladne walon ke kadmon mein jahan hota hai.

Uthati lehron ko saahil ki darkaar nahin hoti, Hauslon ke aage koi deewar nahi hoti, Jalte hue ik chiraag ne aandhiyon se kaha, Himmat hai to bujha ke dikha, jalne ke liye mujhe kono ki darkaar nahi hoti.


Soch ko badlo, sitare badal jayenge, Nazar ko badlo, nazare badal jayenge, Kashtiyan badalne ki zarurat nahi, Dishaon ko badlo, kinare badal jayenge.


Manzil unhi ko milti hai, Jinke sapno mein jaan hoti hai, Pankh se kuchh nahi hota, Hauslon se udan hoti hai.

Lehron ko shaant dekh kar yeh mat samjhna Ki samandar mein ravani nahi hai, Jab bi uthenge toofan ban kar uthenge, Abhi uthne ki thani nahi hai.


Aankhon mein khushi, labon par hansi, Gham ka koi naam na ho, Aapko jahan ki saari khushiyan mile, in khushiyon ki kabhi sham na ho!!!

Rishta banana itna aasan hai Jaise MITTI pe MITTI se MITTI likhna Aur rishta nibhana itna mushkil hai Jaise PANI pe PANI se PANI likhna..


Yaadon mein hum rahein ye ehsas rakhna, Nazron se door sahi dil ke paas rakhna, Ye nahi kehte ke sath raho, Door sahi par yaad rakhna.


Har ek se achchi baat karna fitrat hai hamari, Har ek khush rahe ye hasrat hai hamari, Koi hum ko yaad kare ya na kare, Har ek ko yaad karna aadat hai hamari.


Sehmi si nigahon mein khwab hum jaga denge, Sooni in raho pe phool hum khila denge, Hamare sang muskura ke to dekhiye, Hum aapke har gham bhula denge.


Phool se pehle khusboo ko to dekho, Karne se pehle kaam ko to dekho, Kisi ke roop mein diwana na bano, Surat se pehle uske dil ko to dekho.


Gham mein hasne walon ko kabhi rulaya nahi jata, Lehron se pani ko hataya nahi jata, Hone wale ho jate hain khudhi dil se apne, Kisi ko kehkar apna banaya nahi jata.


Gum-e-Zindagi ke sitamvaar bahut hain… Ranj-o-Mayusi ke deedar bahut hain… Himmat-e-Insaan ke aage kya nahi mumkin… Mana ke Sikast-o-Haar ke aasaar bahut hain..!!


Yaad aaye jo tum humko abhi… Dil mein hui hulchul tabhi… Lafzon ko tham liya zubaan ne haye… Kehna hai kuchh tumse….par fir kabhi..!!


Har raahi ko mann chaha mukaam nahi milta, Jisko jee bhar pyar kar sake wo insaan nahi milta, Aasma ke sitaron ki tarah hamare armaan bhi bikharte rehte hain, Jo apne dil mein hamein jagah de sake wo meharbaan nahi milta.


Duniya ka har shauk pala nahi jata, Kaanch ke khilono ko uchhala nahi jata, Mehnat karne se mushkilein ho jati hai aasan, Kyon ki har kaam taqdeeron par tala nahi jata.


Bhagwan ne insan ko kya se kya bana diya, Kisi ko kavi to kisi ko katil bana diya, Do phoolon ka wajan na utha sakti thi Mumtaz, Sahjahan ne uske liye tajmahal bana diya.


Kuchh sitaron ki chamak nahi jaati, Kuchh yadon ki khanak nahi jaati, Kuchh logon se hota hai aisa rishta, Ke door reh ke bhi un ki mehak nahi jaati.


        Khairaat mein mili hui khushi mujhe achchi nahi lagti….. Main apne dukhon mein bhi rahta hoon nawabon ki taraha.


Fitrat aur haalat mein tasadum hai warna … Insan kabhi dil ka bura nahi hota…………….!!!!!!!!!!!!!


Kis kadar anjaan hai yeh silsila-e-ishq bhi, Muhabbat to kayam rehti hai magar “Insan” toot jate hain!

Main uska hoon, ye raaz to woh jaan gaya hai!! Woh kiska hai ye sawaal mujhe sone nahi deta.


Wo khud ko phool aur hum ko patthar keh kar muskuraya karte hain, Un ko kya khabar patthar to patthar rehtt hain phool hi murjhaya kartt hain.


Chehre ki hasi se har gam chupao, Bahut kuchh bolo par kuchh na batao. Khud na rutho kabhi par sabko manao, Ye raz hai zindagi ka, bas jeete chale jao.


Phool bankar muskurana zindagi, Muskura ke gham bhulana zindagi, Jeet kar koi khush ho to kya hua, Haar kar khushiyan manana bhi zindagi.


Sabhi naghme saaz mein gaye nahi jaate, Sabhi log mehfil mein bulaaye nahi jaate, Kuchh paas reh kar bhi yaad nahi aate, Kuchh door reh kar bhi bhulaye nahi jaate.


Yadein hoti hain satane ke liye, Koi roothta hai phir maan jane ke liye, Rishte banana koi mushkil to nahi, Jaan bhi chali hai nibhane ke liye.






↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑↑
  •  
 
  Copyright ©Vansh  
 
Thanks for the visit to our website This website was created for free with Own-Free-Website.com. Would you also like to have your own website?
Sign up for free